Jaise khichadi banti hai daal aur chawal ke adbhut sangam se aur khayi jaati hai chaar yar (ghee, dahi, papad aur achaar) ke saath, waise hi ye khichadi bani hai kucchh adbhut namunon ke saath..
Is khichadi ke mukhya patra:
Babuji: parivaar ke mukhiya – khaddos, kanjoos aur gussail..inka kaam hai sab pe chillana aur unka fav dialogue ha, jayashree chai bana rahi ho ya bahar se mangvaun??
Jayashree bhabhi: gossip ki maharani..jab garma garam gossip ho bantne ke liye to chai banae ki sudh kise rahe??
Prafull bhaiyya: babuji ke gadhe oops do number ke bete..inke dimaag ko sirf wo samajh sakte hain ya unki dharampatni..
Hansa bhabhi: prafull ki better half..inka pura waqt saaj singaar mein guzar jaata hai..waise angreji kamzor hai par prafull bhaiyya unki kami poori kar dete hain!
Raju: babuji ka sabse chhota beta..smart aur intelligent bas ek galti ki kadki se shaadi ki..
Melissa..melissa urf kadki bachchon ko padhate padhate raju ko prem ka paath padha gayi..khud ko bahut hoshiyaar samajhti hai par jayashree bhabhi ke aage ek nahin chalti..
Bhaveshkumar: ghar janvai urf bhukkadkumar..unka ek hi mantra hai..pura din munh chalna chahiye khaane ke liye..
Himanshu: hansa ke judvaa bhai..dimaag se..khaana acchha banate hain magar..
Parminder: ek aisi anokhi family se belong karte hain jahan sabke naam parminder hain..